Diya Ahle Muhabbat Ko Sadaqat Ka Alam Tune,
Rahe Imaa’n Ko Bakhshe Khushnuma Naqshe Qadam Tu Ne,
Tera Har Lafz Aye Siddique Akbar Hai Sada Zinda,
Chalaya Lauhe Ulfat Par Adam Ka Qalam Tu Ne,
Taqaze Ishq O Ima’n Ke Sabhi Peshe Nazar Rakh Kar,
Sikhaye Deher Ko Hubbe Nabi Ke Pecho Kham Tu Ne,
Shab e Hijrat Nabi Sath Gaar e Saur Me Jaa Kar,
Pahado Me Banaya Hai Mubabbat Ka Haram Tu Ne,
Laga Kar Pur Khatar Surakh Me Apne Angutho Ko,
Wafao Ki Nayi Taarikh Kar Daali Raqam Tu Ne,
Nabi Ka Sar Teri Aagosh Me Tha Waah Kya Kehna,
Shah Kya Khub Paayi Qurbat e Kherul Umam Tu Ne,
Tere Aansu Rukhe Sarkar Ko Chu Kar Bane Gauhar,
Badal Daale Gule Rahat Se Apne Khaare Gam Tu Ne,
Nabi Ki Qurbate’n Thi Aur “La Tahzan” Ka Nagma Tha,
Guzare Gaar Me Lamhaat Kitne Mohtaram Tu Ne,
Tu Parwana Sifat Sham’aye Nabuwat Par Machalta Tha,
Tawaf e Ishq Farmaya, Musalsal Dambadam Tu Ne,
Nabi Ka Aks Tere Pekare Jaa’n Me Utar Aaya,
Muhabbat Me Muhabbat Ko Kiya Kuch Aisa Zam Tu Ne,
Tere Kirdar Ka Gulzar Sukhega Na Mehshar Tak,
Zameen e Dil Ko Aab e Ishq Se Rakha Hai Nam Tu Ne,
Tere Isaar Par Ahle Wafa Hairat Me Doobe Hai,
Ke Jaa’n Par Khel Kar Rakha Muhabbat Ka Bharam Tu Ne,
Har Ek Toofan e Baatil Se Wafaye’n Ladh Gayi Teri,
Nibhaya Dosti Ka Haq Zamane Se Atam Tu Ne,
Nabi Ke Ishq Me Tu Aag Ke Dariya Se Bhi Guzra,
Magar Baatil Ke Aage Sar Kiya Hargiz Na Kham Tu Ne,
Sakhawat Ka Hunar Sikhe Tere Kirdar Se Duniya,
Lutaye Mustafa Par Jaan O Dil, Jaah O Hasham Tu Ne,
Mataye Qalb O Jaa’n Daste Nabi Me Sonp Ka Apni,
Razaye Mastafa Ko Kar Liya Apna Hakam Tu Ne,
Rahegi Yaad Aye Siddique Akbar Teri Qurbani,
Gulistan e Wafa Ko, Kar Liya Rashke Iram Tu Ne,
Nabi Ke Baad Paida Ki Gayi Thi Shorishe’n Kitni,
Kuchal Daale Badi Himmat Se Fitno Ke Sanam Tu Ne,
Na Kyu Ash’ar Ke Dariya Me Sacchai Ki Mauje’n Ho,
Fareedi Ko Diya Hai Haq Bayani Ka Qalam Tu Ne.
Az Fareedi Siddiqui Misbahi Masqat Uman