Wasf Kya Likhe Koi Us Mahbate Anwaar Ka Naat Lyrics

Wasf kya likhe koi us mahbatey anwaar ka
Mehro mah me jalwa hai jis chand se rukhsar ka

Arshe aazam pe pharera hai shahe abraar ka
bajta hai kaunain me danka mere sarkaar ka

Do jahaan me bat’ta hai baada usi sarkaar ka
Dono aalam paate hain sadqa usi darbaar ka

Rozaye waala e Taiba makhzane anwaar hai
Kya kahu aalam me tujh se jalwa gaahe yaar ka

Dil hai kiska jaan kiski sab ke maalik hai wohi
Dono aalam par hai qabza Ahmade Mukhtaar ka

Main teri rehmat ke qurban aye mere amno amaan
Koi bhi pursa nahi hai mujh se bad kirdaar ka

Tu hai rehmat baabe rehmat tera darwaaza hua
Saaya e fazle khuda saaya teri deewaar ka

Kaaba o Aqsa o Arsh o Khuld hai Noorie magar
Hai niraala sab se aalam jalwa gaahe yaar ka