Abdullah Ka Noore Nazar Aaya

Bi Hamdillah Abdullah Ka Noore Nazar Aaya,
Mubarak Aamina ka Noor E Dil, Lakhte Jigar aaya.


Yeh Abdul Mutalib ki Khoobi E Kismat ke Unke Ghar,
Charaag E Lamakaan, Kaunon Makaan ka Tajwar Aaya.


Aur Rabbi E Paak Tujh Per Ahle Sunnat Kyun Na Qurbaan Ho,
Ke Teri Barwih Tariq Woh Jaan E Qamar Aaya.


Aur Woh Khatmul Ambiyah Tashrif Farma Honewale Hai,
Nabi Har Ek Pehle Se Sunnata Yeh Khabar Aaya.


Kahanat Mitgai Bilkul Ke Ab Woh Muqbire Sadiq,
Bi Fazlillah Ek Ek Baat Ki Dene Khabar Aaya.


Aur Uloom E Awwali O Aakhri Hai Jinke Sine main,
Khabar Hai Zare Zare Ki Jise Woh Ba Khabar Aaya.


Aur Shab E Milad E Aqdas Ki Masarrat Zare Zare Ko,
Magar Iblis Apne Sathio Main Nohagar Aaya.


Chalo E Mufliso Joh Aaj Mangoh ge Woh Paoge,
Ke Sadqa Baat ta Ard O Saman Ka Taajwar aaya.


Aur Huqumat Aisi Nafiz Hai Ke Unka Huqm Pate Hi.
Ali ke Waaste Maghrib Se Suraj Laut Kar aaya.


Aur Wahabi Mehfil E Milad Main Aae Toh U Samjho,
Ke Insano Main Kufri Boj Laade Jaise Khar aaya.


Aur Jamil E Qadiri Jab Sabz Gumbad Unka Dekhuga,
Toh Samjhuga Mere Nakhle Tamanna Main Qamar Aaya.
(Sallallahu ta’ala alayhi wa sallam)


By Hazrat Jamil Ur Rehman Qadri Sahab
(Khalifa E AlaHazrat Imam Ahmed Raza Khan Radi Allahu anhu)