Waqt e Rukhsat Hai Ye Faryaad Mere Gaus Piya

Waqt e Rukhsat Hai Ye Faryaad Mere Gaus Piya
Phir Bulana Humein Bagdad Mere Gaus Piya

Aap Ke Dar Pe Mila Lutf Madine Ka Hume
Phir Se Taaza Ho Wohi Yaad Mere Gaus Piya

Hum Tere Sheher Mein Aane Ke Kaha’n Qabil The
Hum Nikamme To Hain Bedad Mere Gaus Piya

Ab Madine Ki Ziyarat Ki Tadap Aur Badhi
Jab Se Dekha Tera Bagdad Ya Gaus Piya

Tere Roze Pe Salaami Ke Liye Haazir Hain
Kitne Abdaal Aur Autaad Ya Mere Gaus Piya

Ma’af Kar Dena Khatayen Jo Hui Hain Hum Se
Jaate Jaate Hai Ye Fariyad Mere Gaus Piya

Umr Bhar Tere Dar e Paak Ke Chakkar Kaatu’n
Baar Baar Aau Main Bagdad Mere Gaus Piya

Shaad o Aabaad Ki Bhi Qabr Shaha Chamka Do
Tera Ahmed Bhi Rahe Shaad Mere Gaus Piya

Waqfe Midhat Mein Rahoon Aur Meri Naslein Bhi
Waqte Ne’mat Bhi Rakho Yaad Mere Gaus Piya

Lab Pe Kalma Mere Jaari Ho Tera Chehra Ho
Zeest Ki Puri Ho Miyaad Mere Gaus Piya

De Do Sayyed Ko Gulami Ki Sanad Ibne Batool
Aap Se Hai Yahin Fariyad Mere Gaus Piya

By – Al Haj Sayyed Mohammad Qadri Sahab Qibla