Gaus e Aazam Ka Kehlana Sab Ke Bas Ki Baat Nahi
Itna Aala Rutba Paana Sab Ke Bas Ki Baat Nahi
Deen e Haq Ko Phir Se Jilana Sab Ke Bas Ki Baat Nahi
Laqab Mohiyuddin Ka Paana Sab Ke Bas Ki Baat Nahi
Peer e Peeraan Meer e Meeraan Abdul Qadir Gaus e Zamaan
Taaj e Wilayat Sar Pe Uthana Sab Ke Bas Ki Baat Nahi
Shayalillah Gausul Aazam Dil Se Pukaare To Koi
Fauran Hi Imdad Ko Aana Sab Ke Bas Ki Baat Nahi
Saare Waliyon Ki Gardan Par Mera Qadam Hai Mera Qadam
Mimbar Se Ye Hukm Sunana Sab Ke Bas Ki Baat Nahi
Baap Hain Hasni Maa Hain Hussaini Kya Nisbat Hai Gaus Teri
Aisi Aala Nisbat Paana Sab Ke Bas Ki Baat Nahi
Asra Ki Shab Khoob Hi Paya Gaus e Aazam Ne Faizaan
Qadme Nabi Kaandhe Pe Uthana Sab Ke Bas Ki Baat Nahi
Chashme Baseerat Ho To Dikha Do Gaus e Aazam Sa Koi
Thokar Se Murdon Ko Jilana Sab Ke Bas Ki Baat Nahi
Gaus Karam Bagdad Main Jaaun Aur Madina Bhi Dekhu
Mushkil Ko Aasaan Banana Sab Ke Bas Ki Baat Nahi
Qabr o Hashr me Aur Meeza’n Par Apne Mureedo Ki Khatir
Bakhshish Ka Wada Farmana Sab Ke Bas Ki Baat Nahi
Qadri Saare Dhundhte Honge Mehshar Mein Jab Aaqa Ko
Us Dam Aaqa Se Milwana Sab Ke Bas Ki Baat Nahi
Sayyed Ye Sab Faiz Mila Hai Tujh Ko Peer o Murshid Ka
Warna Gaus Ki Madah Sunana Sab Ke Bas Ki Baat Nahi
By – Al Haj Sayyed Mohammad Qadri Sahab Qibla