Aaj Phir Aayi Teri Yaad Mere Gaus Piya
Dil Khincha Phir Suye Bagdad Mere Gaus Piya
Aapki Yaad Hai Kya Yaad Mere Gaus Piya
Shaad Ho Jaate Hain Na-shaad Mere Gaus Piya
Aap Hain Kaaba e Afraad Mere Gaus Piya
Aap Hain Qibla e Autaad Mere Gaus Piya
Muhid Dee’n Teri Duhai Hai Pada Deen Pe Waqt
Sar Uthata Hai Phir Ilhaad Mere Gaus Piya
Teri Gairat Ke Tasadduq Mere Gairat Wale
Ho Madad Par Teri Imdad Mere Gaus Piya
La-Takhaf Phir Se Suna Do Ke Tasalli Ho Jaaye
Ek Baar Aur Ho Irshad Mere Gaus Piya
Tune Farmaya Mureedo Pe Hoon Main Misl e Falak
Neela Gumbad Rahe Aabad Mere Gaus Piya
Main Bura Sab Se Bura Hoon To Magar Hoon Kis Ka
Door Ho Mujh Se Ye Uftaad Mere Gaus Piya
Tu Ne Bachpan Mein Sunaye Jo Atthaara Paare
Sun Ke Hairaan the Ustad Mere Gaus Piya
Mere Wiraanaye Dil Ko Bhi Banao Bagdad
Kijiye Isko Bhi Aabad Mere Gaus Piya
Ye To Ho Sakta Nahi Baat Ye Mumkin Hi Nahi
Tere Hote Hoon Main Barbaad Mere Gaus Piya
Bhul Jaaun Main Khudi Ko Bhi Aur Khud Ko Bhi
Bas Khuda Mujh Ko Rahe Yaad Mere Gaus Piya
Main Imamain Ke Qadmo Me Baqi’e Mangta Hu’n
Meri Mitti Na Ho Barbaad Mere Gaus Piya
Dakhila Khuld Me Paaon Mai Teri Rehmat Se
Mera Imaan Na Ho Barbad Mere Gaus Piya
Tere Ajdaad To Ashraaf Ke Hain Taaj e Sar
Aur Be Misl Hai Aulad Mere Gaus Piya
Qufl Dozakh Pe Laga,Khul Gaye Dar Jannat Ke
Jab Hui Aap Ki Milaad Mere Gaus Piya
Aap Daata Bhi Sakhi Bhi Ho Kareem Ibne Kareem
Kyun Hai Ye Dil Mera Nashaad Mere Gaus Piya
Tere Jalwo’n Ka Nazara Ho Meri Aankhon Ko
Aur Ho Dil Mein Teri Yaad Mere Gaus Piya
Meri Kashti Ko Bhi Dajla Ka Kinara Mil Jaaye
Az Paye Kazim o Jawwad Mere Gaus Piya
Aap Ke Hote Huwe Kyun Main Phirun Khasta Kharab
Ab Bulaa Lo Shahe Bagdad Mere Gaus Piya
Shaan Takwi’n Teri Dam Me Jo Chahe Wo Kare
Teri Qudrat Hai Khuda Daad Mere Gaus Piya
Sayyed e Jayyad e Har Deher Hai Maula Tera
Qaid e Gham Se Karo Aazad Mere Gaus Piya
Jis Qadar Paya Mila Sab Isi Dar Se Sayyed
Hai Nazaad Aap Ka Hammad Mere Gaus Piya
By – Al Haj Sayyed Mohammad Qadri Sahab Qibla