Salaam Us Par Ke Jisne Bekason Ki Dastagiri Ki

Salaam Us Par Ke Jisne Bekason Ki Dastagiri Ki
Salaam Us Par Ke Jisne Baadshahi Mein Faqeeri Ki

Salaam Us Par Ke Asraare Mohabbat Jisne Samjhaye
Salaam Us Par Ke Jisne Zakhm Kha Kar Phool Barsaaye

Salaam Us Par Ke Jisne Bhooke Pyaason Ko Qabaayen Di
Salaam Us Par Ke Jisne Gaaliyan Sun Kar Duayen Di

Salaam Us Par Ke Jis Ka Zikr Hai Saare Wazaaif Mein
Salaam Us Par Jo Majroh Hua Bazaare Taaif Mein

Salaam Us Par Ke Jiske Sakht Ghar Ke Jung Karte The
Salaam Us Par Watan Ke Log Jisko Tang Karte The

Salaam Us Par Ke Jiske Ghar Mein Chaandi Thi Na Sona Tha
Salaam Us Par Ke Toota Boriya Jiska Bichona Tha

Salaam Us Par Jo Sachchai Ki Khaatir Dukh Uthata Tha
Salaam Us Par Jo Bhooka Rehkar Auron Ko Khilaata Tha

Salaam Us Par Ke Ummat Ke Liye Raaton Ko Rota Tha
Salaam Us Par Jo Farshe Khaak Pe Jaade Mein Sota Tha

Salaam Us Par Ke Jiski Saadgi Darse Baseerat Hai
Salaam Us Par Ke Jiski Zaat Fakhre Aadmiyat Hai

Salaam Us Par Ke Jisne Jholiyan Bhar Di Faqeeron Ki
Salaam Us Par Ke Mashken Khol Di Jisne Aseeron Ki

Salaam Us Par Ke Jiski Chaand Taaron Ne Gawaahi Di
Salaam Us Par Ke Jiski Sang Paaron Ne Gawaahi Di

Salaam Us Par Ke Jisne Shirk Ke Purze Udaa Daale
Salaam Us Par Ke Jisne Naksh Baatil Ke Mita Daale

Salaam Us Par Ke Jisne Zindagi Ka Raaz Samjhaya
Salaam Us Par Jo Khud Badr Ke Maidaa(n) Mein Kaam Aaya

Salaam Us Par Ke Jisne Bekason Ki Dastagiri Ki
Salaam Us Par Ke Jisne Baadshahi Mein Faqeeri Ki