Kaabe ki raunak Kaabe ka manzar
Allahu Akbar Allahu Akbar
Dekhu to dekhe jaau barabar
Allahu Akbar Allahu Akbar
Hairat se khud ko kabhi dekhta hu
Aur dekhta hu kabhi mai haram ko
Laya kahan mujh ko mera muqaddar
Allahu Akbar Allahu Akbar
Hamd e Khuda se tar hai zabaane
Kaano me ras gholti hai azaane
Bus ek sada aa rahi hai barabar
Allahu Akbar Allahu Akbar
Maangi hai maine jitni duae
Manzoor hongi maqbool hongi
Mizaab e Rehmat hai mere sar par
Allahu Akbar Allahu Akbar
Tere karam ki kya baat Maula
Tere haram ki kya baat Maula
Taa umr karde aana muqaddar
Allahu Akbar Allahu Akbar
Yaad aagayi jab apni khataye
Ashko me dhalne lagi iltijae
Roya Gilaf e Kaaba pakad kar
Allahu Akbar Allahu Akbar
Dekha Safa bhi Marwa bhi dekha
Rab ke karam ka jalwa bhi dekha
Dekha rawa ek saron ka samandar
Allahu Akbar Allahu Akbar
Kaabe ke upar se jaate nahi hai
Kisko adab ye sikhate nahi hai
Kitne muaddab hai yeh kabootar
Allahu Akbar Allahu Akbar