Bakhshish ka silsila hai Ye Ramzaa Kareem hai
Rehmat ka aasra hai Ye Ramzaa Kareem hai
Rehmat ka aasra hai Ye Ramzaa Kareem hai
Jo mango mil raha hai Ye Ramzaa Kareem hai
Ye faiz aur sakha hai Ye Ramzaa Kareem hai
Ye faiz aur sakha hai Ye Ramzaa Kareem hai
Aye bekaso aye mujrimo aye aasiyo suno
Gaffaar kibriya hai Ye Ramzaa Kareem hai
Gaffaar kibriya hai Ye Ramzaa Kareem hai
Har lehza barasti hai jo rehmat ki barishe
Ye RAB ka mahina hai Ye Ramzaa Kareem hai
Ye RAB ka mahina hai Ye Ramzaa Kareem hai
Bakhsha gaya jo aamade Ramzaa pe khush hua
Kya paya martaba hai Ramzaa Kareem hai
Kya paya martaba hai Ramzaa Kareem hai
Isko mila sharaf hai nuzule Qur’an ka
Jo rehmato shifa hai Ye Ramzan Kareem hai
Jo rehmato shifa hai Ye Ramzan Kareem hai
Shaitaan hai fikar na dozakh ka koi darr
Dar khuld ka bhi wa hai Ye Ramzan Kareem hai
Dar khuld ka bhi wa hai Ye Ramzan Kareem hai
Tujhko naseeb hogi bahare haram bhi ab
Tune jo paaliya hai Ye Ramzan Kareem hai
Tune jo paaliya hai Ye Ramzan Kareem hai
Sayyed Khuda ka shukr aada kar ke zeest me
Baare digar mila hai Ye Ramzan Kareem hai
Baare digar mila hai Ye Ramzan Kareem hai