Naat Sarkaar ki padhta hu mai
Bas isi baat se ghar me mere rehmat hogi
Ik tera naam waseela hai mera
Ranjo Gham me bhi isi naam se raahat hogi
Ye suna hai ke bohot ghor andheri hogi
Qabr ka khauf na rakhna aye dil
Waha Sarkaar ke chehre ki ziyaarat hogi
Unko Mukhtar banaaya hai mere Maula ne
Khuld me bas wahi ja sakta hai
Jis ko Hasnain ke baba ki ijaazat hogi
Hashr ka din bhi ajab dekhne wala hoga
Zulf lehra ke woh jab aayenge
Phir Qayaamat me bhi ik aur Qayaamat hogi
Mera daaman to gunaaho se bhara hai Altaf
Ik sahara hai ke mai unka hu
Isi nisbat se sar-e-hashr shafa`at hogi