Mera Nabi Lajawaab hai
Dil kehta hai har waqt sifat unki likha kar
Kehti hai zubaan naat Muhammed ki padha kar
Is mehfile milaad me aye Bandaye Sarkaar
Jab aaye durood us Shahe aalam pe padha kar
Mera Nabi Lajawaab hai
Khaali kabhi phera hi nahi apne gada ko
Aye saailo maango to Zara haath utha kar
Khud apne bhikaari ki bhara karte hai jholi
Khud kehte hai Ya Rab mere Mangta ka bhala kar
Mera Nabi Lajawaab hai
Behkaata hai yu nafs ke Ghar Chhodna apna
Imaan ye kehta hai Madine me raha kar
Gar hind me Marta hai koi Aashiq e saadiq
Le jaate hai Taiba me malak usko Utha kar
Mera Nabi La jawaab hai
Hoga na asr hum pe ke hum abde Nabi hai
Aye aatishe dozakh Hume dekho to jalaa kar
Kya mehre qayamat hume dikha lega tezi
Sarkar rakhenge hume daaman me chupa kar
Mera Nabi Lajawaab hai
Jab hashr me Allah Nabi se ye kahega
Mehboob jise chahe tu dozakh se riha kar
Hai kaunsi ne’mat jo na di Unko khuda ne
Wo kaunsi shai hai Jo rakhi unse chupa kar
Mera Nabi Lajawaab hai
Mukhtaar bana kar unhe farmaya khuda ne
Jo chahe na de Aur jise chahe tu ataa kar
Wo izzat-o-rif’at ke har ek shai pe khuda ne
Naam unka likha naam se hai apna mila kar
Mera Nabi Lajawaab hai
Aalam ki khabar rakhte hai gar wo to ajab kya
Bheja hai khuda ne unhe har ilm sikha kar
Taalim di ek naam ko Jibreele Ameen ne
Aalim kiya Allah ne khud unko padha kar
Mera Nabi Lajawaab hai
Ek jaam maaye ishq mein bande ko pila kar
Ya Shahe Arab apni muhabbat mein fanaa kar
Wo din bhi mayyasar ho Jameele Razavi ko
Kuch naat padhe Rauza e purnoor pe jaa kar