Koo E Nabi Se Aana Sake Hum Raahat Hi Kuch Aisi Thi
Yaad Rahi Na Jannat Hum Ko Jannat Hi Kuch Aisi Thi
Yaad Rahi Na Jannat Hum Ko Jannat Hi Kuch Aisi Thi
Takte Rahe Yusuf Jaise Bhi Hashr Mein Unke Chehre Ko
Jab Poocha To Kehne Lage Woh Soorat Hi Kuch Aisi Thi
Akbar O Asghar Aur Ye Gaazi Deen Pe Waare Has Has Kar
Yoon Lagta Hai Deene Nabi Ki Qeemat Hi Kuch Aisi Thi
Paas Bulaaya Paas Bithaaya Arsh Pe Unko Khaaliq Ne
Ye To Aakhir Hona Hi Tha Chahat Hi Kuch Aisi Thi
Bolo Aye Jibreel Ke Unki Kyun Kar Taliyan Choomi Thi
To Kehne Lage Jibreel Ke Unki Azmat Hi Kuch Aisi Thi
Duniya Me Sarkaar Ki Naat Padhe Rahe Har Ik Lamha
Qabr Me Bhi Thi Naat Labon Par Aadat Hi Kuch Aisi Thi
Qabr Mein Hakim Jab Pohnche To Has Ke Nakeeron Ne Dekha
Kyun Na Farishte Pyaar Se Milte Nisbat Hi Kuch Aisi Thi