Furqate Taiba Ki Wahshat Dil Se Jaaye Khair Se
Mai Madine Ko Chalu Wo Din Phir Aaye Khair Se
Dil Mein Hasrat Koi Baaki Reh Na Jaaye Khair Se
Raahe Taiba Mein Mujhe Yoon Maut Aaye Kahir Se
Mere Din Phir Jaaye Ya Rab Shab Wo Aaye Khair Se
Dil Me Jab Maahe Madina Ghar Banaaye Khair Se
Raat Meri Din Bane Unki Baqaaye Khair Se
Qabr Me Jab Unki Tal’at Jagmagaaye Khair Se
Wo Khiraame Naaz Farmaaye Jo Paaye Khair Se
Kya Bayaan Woh Zindagi Ho Dil Jo Paaye Khair Se
Hai Ghani Ke Dar Pe Hum Bistar Jamaaye Khair Se
Khair Ke Taalib Kaha Jaaenge Jaaye Khair Se
Mar Ke Bhi Dil Se Na Jaaye Ulfate Baage Nabi
Khuld Me Bhi Baag Janaa Yaad Aaye Khair Se
Ranjo Gham Hon Be Nishaan Aaye Bahaare Be Khizaa
Mere Dil Me Baage Janaa Ki Hawaaye Khair Se
Is Taraf Bhi Do Qadam Jalwe Khiraam Naaz Ke
Reh Guzar Me Hum Bi Hain Aankhen Bichaaye Khair Se
Ho Mujhe Seere Gulistaane Madina Yoon Naseeb
Main Bahaaron Me Chalu Khud Ko Gumaaye Khair Se
Zindabaad Aye Aarzooye Baaghe Taiba Zindabaad
Tere Dum Se Hai Zamaane Ke Sataaye Khair Se
Jhanhk Lo Aankhon Me Unki Hasrate Taiba Liye
Zaaire Taiba Ziyaae Taiba Laaye Khair Se
Najdiyo Ki Cheera Dasti Ya Ilaahi Tabake
Ye Balaaye Najd Ye Taiba Se Jaaye Khair Se
Sange Dar Se Aa Mile Taiba Me Ab To Jaa Mile
Aa Gaye Dar Pe Tere Tere Dar Pe Bulaaye Khair Se
Gosh Bar Aawaaz Hu Qudsi Bhi Is Ke Geet Par
Baaghe Taiba Me Jab Akhtar Gungunaaye Khair Se