Falak Ke Naazaro Zameen Ki Bahaaro
Sab Eidein Manao Huzoor Aa Gaye Hain
Sab Eidein Manao Huzoor Aa Gaye Hain
Uttho Be Sahaaro Chalo Gham Ke Maaro
Khabar Ye Sunao Huzoor Aagaye Hain
Huzoor Agaye Hain Huzoor Aa Gaye Hain
Anokha Niraala Woh Zeeshaan Aayaa
Woh Saare Rasoolon Ka Sultaan Aayaa
Are Kaj Kulaho Are Baadshaho
Nigahen Jhukaao Huzoor Aa Gaye Hain
Hua Char Soo Rehmaton Ka Basera
Ujaala Ujaala Sawera Sawera
Haleema Ko Pohnchi Khabar Aamina Ki
Mere Ghar Main Aao Huzoor Aa Gaye Hain
Hawaaon Mein Jazbaat Hain Marhaba Ke
Fazaaon Mein Naghmaat Salle Ala Ke
Duroodon Ke Gajre Salaamon Ke Tohfe
Ghulaamo Sajaao Huzoor Aa Gaye Hain
Samaa Hai Sanaa E Habeebe Khuda Ka
Ye Meelad Hai Sarware Ambiya Ka
Nabi Ke Gadaao Sab Ek Doosre Ko
Khabar Ye Sunaao Huzoor Aa Gaye Hain
Kaha Mai Zahoori Kaha Unki Baatein
Karam Hi Karam Hain Ye Din Aur Raatein
Jahaan Par Bhi Jaao Dilon Ko Jagaao
Yahi Kehte Jaao Huzoor Aa Gaye Hain
Karam Hi Karam Hain Ye Din Aur Raatein
Jahaan Par Bhi Jaao Dilon Ko Jagaao
Yahi Kehte Jaao Huzoor Aa Gaye Hain