Bulwaya jo rauze par ek nazre karam kardo
Tum hi ho mere sarwar ek nazre karam kardo
Tum hi ho mere sarwar ek nazre karam kardo
Dil mere kiya chalni apne ho ke begaane
Lafzon ke diye nashtar ek nazre karam kardo
Bigdi huwi banti hai har baat Madine me
Haajat hai ayaa tum par ek nazre karam kar do
Tum raafat o rehmat ho tum Qaasime ne’mat ho
Shafqat ke ho tum paikar ek nazre karam kar do
Bardo meri jholi ko badi door se aaya hu
Baitha hu main chaukhat par ek nazre karam kar do
Kyun kis se kahu dil ki tum sunte ho sab dil ki
Haalaat ho ab behtar ek nazre karam kar do
Tehreek ke daa’i ko daaman me panaah de do
Rehmat ho sada hum par ek nazre karam kar do
Kya khoob nibhaya hai Shakir ko Shaha tum ne
Apne ho tumhi yaawar ek nazre karam kar do