Meri kismat jagana tera kaam hai
Meri ankho ko hai deed ki arazoo
Rukh se parda uthana tera kaam hai
Teri chaukhat kahan aur kaha ye jabeen
Tere faizo karam ki to had hi nahin
Jin ko duniya me na koi apna kahen
Unko apna banana tera kaam hai
Baada bat ta hai sultane kaunain ka
Sadqa Moula Ali sadqa Hasnain ka
Sadqa khwaja piya Ghause thaklayn-ka
Haazari hogayi ye bhi inaam-e-hai.
Mere dil me teri yaad ka raaj hai
Zehn tere tasawwur ka mohtaaj hai
Ek nigaahe karam hi meri laaj hai
Laaj meri nibhaana tera kaam hai
Tosha-e-akhirat hai sanakhwan ka
Zikr karta rahai tere faizan ka
Teri naatein sunana mera kaam hai
Sunke Taiba bulana tera kaam hai
Saakiya jaan qurban tere jaam par
Ho nigaahe karam apne khuddaam par
Chhor di hum ne kashti tere naam par
Abh kinare lagaana tera kaam hai
Faiz jaari tera ta qayamat rahe
Teri Nabiyon pe qayam imaamat rahai
Teri Mehboob chaukhat salamat rahe
Ganj rehmat lootana tera kaam hai
Pesh har aarzoo har tamanna karo
Thaamlo Jaaliyan iltijaaye karo
Maangne walo daaman kushada karo
Pyare Aaqa ka faizo karam aam hai