Tu Shah e Khooban tu jaan e jaana
Hai chehra Ummul Khitab tera
Na ban saki hai na ban sake ga
Misal teri jawab tera
Tu sab haseeno me sab se awwal
Mila hai Husn e Dawam tujko
Hai umar lakho baras ki teri
Magar hai taza shabab tera
Khuda ki rehmat ne dal rakhe
Hai tujh pe sattar hazaar parde
Jahaan me ban jaate toor laakhon
Jo ek bhi utha naqaab tera
Ho Mushq o Ambar ya Boo e Jannat
Nazar me uski hai be haqeeqat
Mila hai jisko mala hai jisne
Pasina rashk e gulaab tera
Mai tere Husn o Bayaan ke sadqe
Mai teri meethi zubaan ke sadqe
Ba Rang e Khushboo dilo pe utra
Hai kitna dilkash khitaab tera
Hai tu bhi saa’im ajeeb insaan
Jo khouf e mehshar se hai hirasan
Arre tu jinki hai naat padhta
Wohi to lenge hisaab tera