Mere Aaqa ki shaan sab se alag
Jaise rutbe me Qur’an sab se alag
Jaise rutbe me Qur’an sab se alag
Shaan Khairul bashar khaatamul ambiya
Ik payambar ik insaan sab se alag
Shafqate be sabab rehmate be talab
Unki bakhshish ka unwaan sab se alag
Arsh qadmon me pewand poshaakh me
Hai do aalam ke sultan sab se alag
Unko dekha nahi phir bhi pehcahaan le
Meri aankhon ka imaan sab se alag
Unke dar ke gada sar pe taaje ana
Hum faqeero ki pehchaan sab se alag
Naat kehte hai dil ki zameeno me hum
Shayar apna hai maidaan sab se alag