Jab gumbade khazra pe woh pehli nazar gayi
Aankhon ke raaste mere dil me utar gayi
Aankhon ke raaste mere dil me utar gayi
Sar kham tha lab khamosh the aankhen thi ashkbaar
Ik saa-ate bedaar thi jo ke guzar gayi
Barsi thi is qadar ke naha sa gaya udhar
Woh baarishe karam mere daamaa ko bhar gayi
Dil bhi hai shaad shaad tabiyat hai pur bahaar
Lagta hai aaj meri Madine khabar gayi
Taiba se lautna kisi aashiq se poochiye
Aisa lage ke rooh badan se nikal gayi
Jo keh saka na lab se mili woh muraad bhi
Mere sukoot par bhi Shaha ki nazar gayi
Aawaz Ubaid teri ba-faizaane naat hi
Seeno(n) me aashiqaane Nabi ke utar gayi