Faaslon ko takalluf hai hum se agar
Hum bhi bebas nahi besahara nahi
Khud unhi ko pukarenge hum door se
Raaste me agar paau thak jaayenge
Hum Madine me tanha nikal jaayenge
Aur galiyon me qasdan bhatak jaayenge
Hum waha jaake waapas nahi aayenge
Dhoondte dhoondte log thak jaayenge
Jaise hi sabz gumbad nazar aayega
Zindagi ka qareena badal jaayega
Sar jhukane ki fursat milegi kise
Khud hi palkon se sajde tapak jaayenge
Naame Aaqa jaha bhi liya jaayega
Zikr unka jaha bhi kiya jaayega
Noor hi noor seeno me bhar jaayega
Sari mehfil me jalwe lapak jaayenge
Aye Madine ke zaair Khuda ke liye
Daastane safar mujhko yoon mat suna
Baat badh jaayegi dil tadap jaayega
Mere mohtaat aasoon chalak jaayenge
Unki chashme karam ko hai iski khabar
Kis musafir ko hai kitna shauqe safar
Hum ko Iqbal jab bhi ijaazat mili
Hum bhi Aaqa ke darbaar tak jaayenge