Chand Se Unke Chehre Par Gesu e Mushk Faam Do
Din Hai Khila Hua Magar Waqte Sahar Hai Shaam Do
Din Hai Khila Hua Magar Waqte Sahar Hai Shaam Do
Talwon Se Unke Chaar Chand Lag Gaye Mahro maah Ko
Hai Yeh Unhi Ki Taabishe Aur Hain Unhi Ke Naam Do
Haatho Se Chaar Yaar Ke Hum Ko Milenge Chaar Jaam
Daste Hasan Hussain Se Aur Milenge Jaam Do
Unki Jabeene Naaz Par Zulfe Siyaah Bikhar Gayi
Jam’a Hain Ek Waqt Me Jiddaine Subho Shaam Do
Zaate Hasan Husain Hai Ahle Shabeehe Mustafa
Zaat Hain Ek Nabi Ki Zaat Aur Hain Unhi Ke Naam Do
Ab To Madine Lo Bula Gumbade Sabz Do Dikha
Haamido Mustafa Tere Hind Me Hain Ghulaam Do