Bekhud Kiye Dete Hai Naat Lyrics

Bekhud kiye dete hai andaaze hijaabana
Aa dil mein tujhe rakh lu aye jalwaye jaanana

Kyun aankh milayi thi kyun aag lagaayi thi
Ab rukh ko chupa baithe kar ke hume deewana

Jee chahta hai tohfe mein main bheju unhein aankhen
Darshan ka to darshan ho nazraane ka nazraana

Duniya mein mujhe tum ne jab apna banaya hai
Mehshar mein bhi keh dena yeh hai mera deewana

Itna to karam kar dena aye nargise mastaana
Jab jaan labo par ho to saamne aa jaana

Peene ko to peelunga par shart zara si hai
Ajmer ka saaki ho Baghdad ka Maikhaana

Bedam teri qismat mein sajde the usi dar ke
Choote na Ilahi ab sange dare jaanana