Bahar aayi hai Jannat ki Madine ke bayabaan Mein,
Shaha woh Gul Ho tum Jisse ke Hai Nikhat Gulistaan Mein
Naseeme Baghe taiba ghunchaye Gul ko Khilati Hai,
Khushi Ke Shadiyane Bajrahe hai Har Ragejaan mein
Koi Kya Jaane Kya Rifat Hai tere Farqe Anwar ki
Qasam waarid huwi Khaake Qadam ki Tere Quraan Mein
Az Aadam Ta ba Issa aap hi ki abiyaari se
khile hai Phool Rehmat ke Nabuwat ke Gulistaan Mein
Nahi Hai Quwwate Parwaaz Jab Roohul Quds ko Bhi,
To Phir Kis ko Rasaayi ho Tumhare Raaz e Pinha mein
Tere Kuche Mein Marna Jab Hayate Javidani Hai,
Mein Kya Majnu hun Jo Jaan du jaakar Bayabaan mein
Tamanna Hai Tere Darbaar mein SIBTAIN Ki Ya Rab,
Ke uthun Hashr ke din Zumra e Ahmed Raza khan Mein