Rif’ate Mustafayi par arsh ki aql dang hai
Unki har ek adaa me kya mehboobiyat ka rang hai

Khushbu e Mustafa se hai dono jahaan ki nikhaten
Jumbishen lab ki wo adaa mushafe khush tarang hai

Milta hai Mustafa ka dar Aale Rasool ke tufail
Marehra se Madine tak roohani ek surang hai

Aagaz se akheer tak qur’an hai na’ate Mustafa
Mehboob ke bayaan ka kaisa anokha dhang hai

Mehboobe Qibriya ki zaat wajibe ehteraam hai
Tauheen unki jo kare usse hamari jang hai

Nazmi kiye hi jayega milaade Mustafa bayaan
Isko kabhi na chchedna sunni bada dabang hai

Nazmi ko naar ki taraf le chale jab malaaika
Aaqa kahenge chchod do ye to mera malang hai