Pakad kar jaliyo ko jhum Jaane ki tamanna hai
Mere Maula mujhe Ajmer Jaane ki tamanna hai
Zamane se nahi Khwaja se nisbat chahiye mujhko
Jo pohchade waha tak aaisi rehmat chahiye mujhko
Na daulat chahiye mujhko na shauhrat chahiye mujhko
Faqat Khwaja ke Rauze ki ziyarat chahiye mujhko
Mazar e Pak pe chaadar chadaane ki tamanna hai
Mere Maula mujhe Ajmer Jaane ki tamanna hai
Mere Khwaja mujhe jaldi bula lena tere duware
Tujhe deta hu Usmaan e Sakhi ka wasta pyare
Duroodo ki sada meri zuban o dil se yu aaye
Nabi ke dar talak phir ye saba paigaam le jaaye
Madine Paak me naate sunane ki tamanna hai
Mere Maula mujhe Ajmer Jaane ki tamanna hai
Karam aisa mujh par aye mere hind ke Raja
Khuda ke deen ki khidmat karu har dum mere Khwaja
Rasool e Paak ki ulfat ka dil me noor chamka ja
Mere toote huwe dil ko dua e khoob deta ja
Baqi e paak pe madfan banane ki tamanna hai
Mere Maula mujhe Ajmer Jaane ki tamanna hai
Salamat ho dame akhir mere Khwaja mera imaan
Bacha lena mujhe shaitaan se mere hind ke Sultan
Karam se apke karna mukammal ye mera armaa
Yahi kehta hair ro ro kar aye Khwaja aap ka RIZWAN
Musalsal apke dar par aane jaane ki tamanna hai
Mere maula mujhe Ajmer Jane ki tamanna hai