Gause Aazam Ki Jis Par Nazar Pad Gayi
Chor Kal Tak Jo Tha Woh Wali Ho Gaya
Shahe Meera(n) Ke Dar Ka Karam Dekhiye
Jo Nikamma Tha Shere Jali Ho Gaya
Chor Kal Tak Jo Tha Woh Wali Ho Gaya
Shahe Meera(n) Ke Dar Ka Karam Dekhiye
Jo Nikamma Tha Shere Jali Ho Gaya
Shahe Baghdad Ne Jab Ye Farma Diya
Saare Waliyon Ki Gardan Pe Mera Qadam
Auliya Ne Kiya Sare Tasleem Kham
Har Taraf Shohra e Bandagi Ho Gaya
Gause Aazam Imaam Mutuqa Wan Nuqa
Jalwaye Shaane Qudrat Ka Woh Aaina
Jis Pe bhi Aqs Is Aaine Ka Pada
Raushni Raushni Raushni Ho Gaya
Qadriyat Pe Nazmi Ko Ye Naaz Hai
Teri Barkaatiyat Ka Ye Andaaz Hai
Naat Aur Manqabat Ka Ye Ajaaz Hai
Tu Sarasar Kalam Ka Dhani Ho Gaya