Aye Khuda Hind Me Rakhna Mera Imaa(n) Mehfooz,
Khaar Ke Beech Ho Jaise Gule Khandaa(n) Mehfooz.
Iski Aayat Me Tahreef Nahi Ho Sakti,
Rab Ka Waada Hai Rahega Yunhi Qur’an Mehfooz.
Aaj Ke Daur Me Achhai Ki Baate Sahab, Hai Ganimat Ke Rahe Aapka Imaa(n) Mehfooz.
Iltija Rab Se Yahi Hai Ke Rahe Mehshar Tak,
Saare Aalam-o-Masaaib Se Musalmaa(n) Mehfooz.
Jab Talak Aaye Na Achhai Burai Ki Tameez,
Kaise Reh Sakta Hai Insaan Ka Imaa(n) Mehfooz.
Rab Ki Hikmat Ke Bina Hil Nahi Sakta Patta,
Uski Marzi Thi Rahe Yusuf-e-Kin’aa(n) Mehfooz.
Naat Ke Baare Me Poocha To Ye Nazmi Ne Kaha,
Us Se Rehti Hai Meri Jaan Mera Imaa(n) Mehfooz.