Alfaaz Nahi Milte Sarkaar Ko Kya Kahiye
Jibreel Salaami De Darbaar Ko Kya Kahiye.
Akhalqe Muhammad Ki Kya Shaan Niraali Hai
Dushman Bhi Padhe Kalma Kirdaar Ko Kya Kahiye.
Misaqe Azal Me Jo Iqraare Bala Thehra
Jaari Hai Wo Mehshar Tak Iqraar Ko Kya Kahiye.
Bas Ek Palak Jhapki Meraaj Hui Poori
Us Saahibe Rif’at Ki Raftaar Ko Kya Kahiye.
Thi Nutqe Muhammad Me Taasire Kalaame Rab
Fusha Bhi Bane Gunge Guftaar Ko Kya Kahiye.
Ek Ek Sahabi Par Firdaus Bhi Naazaan Hai
Siddique Umar Usman Karraar Ko Kya Kahiye.
Aye Toor Tujhe Shayad Wo Baat Na Bhooli Ho
Israar Ko Kya Kahiye Inkaar Ko Kya Kahiye.
Woh Gaar Ke Jisne Ek Tareekh Banaayi Hai,
Us Gaar Ko Kya Kahiye us Yaar Ko Kya Kahiye.
Nazmi Teri Naato Ka Andaaz Niraala Hai,
Mazmoon Anokhe Hai Ash’aar Ko Kya Kahiye.