Sadaa shehre Makkah me aata rahu main
Haram main mai haazir huwa banke mujrim
Yeh labbaik naraa lagata rahu main
Main leta rahu bosa-e-sangey aswad
Ke dil ki siyaahi mitata rahu main
Illahi main phirta rahu girde kaaba
yoon qismat ki gardish mitaata rahu main
Main peeta rahu har ghadi aabe zam zam
Lagi apne dil ki bujhata rahu main
Safaa aur marwah ke maa bain daudu
Sa’ee karke tujh ko manaata rahu main
Rami kar ke jamraat ki main Mina mein
Tere dushmano ko beechata rahu main
Muzdalifa me waqte seher muskura kar
Yeh sunnat Nabi ki bataata rahu main
Jhuki jin ke sajde ko meh’rabe kaaba
Wahi dil adab se jhukata rahu main
Illahi tu aisa muqaddar banaade
Humeshaa hi Makkey main aata rahu mai
Tere ghar ke peyrey lagaah taa rahu main
Sadaa shehre makkah me aata rahu main.
Hai Sayyed ki khwaish Madine mein mar kar
Humesha hi jannat ko paata rahu main