Har Nazar kaanp utthegi mehshar ke din
Khauf se har kaleja dehel jaayega
Par ye naaz un ke bande ka dekhenge sab
Thaamkar unka daaman machal jaayenga
Par ye naaz un ke bande ka dekhenge sab
Thaamkar unka daaman machal jaayenga
Maujh katra ke hum se chalee jayegi
Rukh mukhalif hava ka badal jaayega
Jab ishaarah karenge wo naa khuda
Apna beda bhanvar se nikal jaayega
Yoon to jeeta hu hukme khuda se magar
Mere dil ki hai unko yaqeenan khabar
haasile zindagi hoga wo din mera
Unke kadmon mein jab dam nikal jaayega
Rabbi sallim wo farmaane wale mile
Kyun satate hai aye dil tujhe waswase
Pul se guzrenge hum wajd karte huwein
Kaun kehta hai paau fisal jayega
Akhtare khasta kyun itna beychen hai
Tera aaqa shehenshahe kaunain hai
Lau lagaa to sahin shahe laulaak se
Gham masarrat ke sanche me dhal jayenga