Yaade watan sitam kiya dashte haram se laayi kyun
Baithe bithaye bad naseeb sar pe bala uthayi kyun

Dil mein to chot thi dabi haaye gazab ubhar gayi
Poocho to aahe sard se thandi hawa chalaye kyun

Chhod ke us haram ko aap ban me thago(n) ke aa baso
Phir kaho sar pe dhar ke haath lut gayi sab kamaayi kyun

Baaghe arab ka sarve naaz dekh liya hai warna aaj
Kumriye jaane ghamzada goonj ke chah chahayi kyun

Naame Madina le diya chalne lagi naseeme khuld
Sozishe gham ko hum ne bhi kaisi hawa bataayi kyun

Kis ki nigaah ki hayaa firti hai meri aankh mein
Nargise mast naaz ne mujhse nazar churaayi kyun

Tu ne to kar diya tabeeb aatashe seena ka ilaaj
Aaj ke doode aah mein booye kabaab aaye kyun

Fikre ma’aash bad bala hole ma’aad jaa(n) guzaa
Laakhon bala mein fasne ko rooh badan mein aayi kyun

Ho na ho aaj kuch mera zikr Huzoor mein hua
Warna meri taraf khushi dekh ke muskuraayi kyun

Hoore jinaa(n) sitam kiya taiba nazar mein fir gaya
Ched ke pardaye hijaaz des ki cheez gaayi kyun

Gaflate shaikho shaab par hanste hain tifle sheer khwaar
Karne ko gudgudi abas aane lagi bahayi kyun

Arz karu(n) Huzoor se dil ki to meri khair hai
Peet-tee sar ko aarzoo dashte haram se aayi kyun

Hasrate nau ka saaniha sunte hi dil bigad gaya
Aise mareez ko Raza marge jawaa(n) sunai kyun