Dard e Dil Chaahiye Chashm e Tar Chaahiye
Mujh Ko Aaqa Ki Pyaari Nazar Chaahiye
Hai Munawwar Ziya Se Yeh Saara Jahan
Sab Ke Dil Ki Haqeeqat Hai Unpar ‘Ayaan
Mere Dil Ki Tamanna Hai Jaan e Jahan
Noor Ki Ek Kiran Ab Idhar Chaahiye
Sarware Do Jahan Ka Hai Behad Karam
Zaate Waala Se Qaayim Hai Mera Bharam
Mujh Ko Aaqa Dikhaate Ho Apna Haram
Aap Ki Deed Ko Chashm e Tar Chaahiye
Khud Khuda Ne Banaaya Hai Tum Ko Habeeb
Aur Uss Ne Banaaya Hai Tum Ko Tabeeb
Marz e ‘Isyaan Se Ab To Shifa Ho Naseeb
Sunnaton Par ‘Amal ‘Umr Bhar Chaahiye
Ya Nabi Mujh Pe Ho Ek Karam Ki Nazar
Baar e ‘Isyaan Se Ab To Jhuki Hai Kamar
Koi Husn e ‘Amal To Nahin Hai Magar
Mujh Ko Bakhshish Ka Zaad e Safar Chaahiye
Bheek ‘Ilm o ‘Amal Ki ‘Ataa Keejiye
Apni Sunnat Ka Paikar Banaa Deejiye
Jaam e ‘Ulfat Mujhe Ab Pilaa Deejiye
Waqt e Aakhir Mujhe Wo Nazar Chaahiye
Sharf e Khidmat ‘Ataa Ho Gulaamon Ko Ab
Jitne ‘Ushaaq Hain Sab Rahe Baa Adab
Khuld Maskan Bane Aur Raazi Ho Rab
Har Du’a Me Meri Wo Asar Chaahiye
Jo Mujaahid Philisteen Me Hain Shahaa
Aas Tum Par Laga Kar Hee Paayain Jilaa
Khaak Mey Zaalimon Ki Miley Ab Jafaa
Aashiqon Ke Liye Ab Zafar Chaahiye
Mujh Ko Aaqa Madine Bulate Rahe
Shakir e Be Nawaa Ko Nibhate Rahe
Apna Mehmaan Hamesha Banaate Rahe
Aakhree Waqt Mujh Ko Yeh Dar Chaahiye