Arsh Se Aage Jaake Dikhao Lyrics

Arsh se aage jaake dikhao
Phir kehna hum jaise the
Noor-e-Mujassam ban ke dikhao
Phir kehna hum jaise the

Chand hua shak suraj palta
Unke ek ishare se
Tum bhi zara ye kar ke dikhao
Phir kehna hum jaise the

Summa dana fatadalla unki
Qurb ki manzil ka hai bayaa
Hai gar himmat tum bhi jao
Phir kehna hum jaise the

Hazrat e Jaabir ki dawat me
Jaise hazaro sair huve
Dawat aisi tum bhi khilao
Phir kehna hum jaise the

Khoob baha panjabe rahmat
Khoob huye seraab sabhi
Pani aisa tum bhi pilao
Phir kehna hum jaise the

Woh hai Muzammil woh Hai Mudassir
Woh hai Yaseen woh Taha 
 Shaan aisi tum apni bataao
Phir kehna hum jaise the

Unka Yad beshak hai Yadullah
Unka Kalaam Allah ka Kalaam
Aisi Zabaa(n) Tum laake dikhao
Phir kehna hum jaise the

Maan bashar woh bhi hai lekin
Yuha Ilaiyya bhi to padho
Koi wahi ik tum bhi sunao
phir kehna hum jaise the

Inna aatayna kal kausar
Aur rafana laka zikrak
Sura e Tauba padhte jao
phir kehna hum jaise the

Woh hai Luaabe paak Nabi ka
Khaari kuye meethe huye
Meetha tum bhi kar ke dihkao
Phir kehna hum jaise the

Hirni vapas laut ke aayi
Unse wafa ka dars diya
Aisi huqumat tum bhi chalao
Fir kehna hum jaise the

Daste mubarak ki barkat se
Tooti haddi theek hui
Apni niyat theek karao
Phir kehna hum jaise the

Shan he ye khuddame Nabi ki
Murde Jilaaye thokar se
Tum bhi zara thokar se jilao
Phir kahna hum jaise the

Puchh to Rizwan unke adu se
Saani kaha se laoge
Aao zara saayaa toh dikhao

Phir kehna hum jaise the