Manzar Fiza E Dahar Main, Saara Ali Ka Hai

Jis Samt Dekhta Hun, Nazara Ali Ka Hai

Dunyae Aashtee Ki Phaban Mujtaba Hassan
Farzand E Fatima Hai To Pyara Ali Ka Hai
Manzar Fiza E Dahar Main, Saara Ali Ka Hai

Kul Ka Jamal Juzw Ke Chehray Se Hai Ayaan
Ghoray Pay Hain Hussain , Nazara Ali Ka Hai
Manzar Fiza E Dahar Main, Saara Ali Ka Hai

Ae Arz E Pak Tujh Ko Mubarak Ke Tere Paas
Parcham Nabi Ka, Chaand Sitara Ali Ka Hai
Manzar Fiza E Dahar Main, Saara Ali Ka Hai

Tum Dakhal De Rahay Ho Aqeedat Ke Baab Main
Dekho Muamla Yeh Hamara Ali Ka Hai
Manzar Fiza E Dahar Main, Saara Ali Ka Hai

Ham Faqar Mast, Chahanay Wale Ali Ke Hain
Dil Par Hamaray Sirf Ijara Ali Ka Hai
Manzar Fiza E Dahar Main, Saara Ali Ka Hai

As’habi Kalnajom Ka Irshad Bhi Baja
Sab Se Magar Buland Sitara Ali Ka Hai
Manzar Fiza E Dahar Main, Saara Ali Ka Hai

Ahal E Hawas Ki Luqma E Tar Par Rahi Nazar
Naane Javin Pe Sirf Guzaraa Ali Ka Hai
Manzar Fiza E Dahar Main, Saara Ali Ka Hai

Hasti Ki Aabb O Taab, Hussain Aasmaan Janab
Zahra Ka Laal, Raaj Dulara Ali Ka Hai
Manzar Fiza E Dahar Main, Saara Ali Ka Hai

Marhab Do Neem Hai Sir E Maqtal Para Huwa
Uthnai Ka Ab Nahi Ke Yeh Mara Ali Ka Hai
Manzar Fiza E Dahar Main, Saara Ali Ka Hai

Duniya Mein Or Kon Hai Apna Bajuz Ali
Ham Be’kason Ko Hai To Sahara Ali Ka Hai
Manzar Fiza E Dahar Main, Saara Ali Ka Hai

To Kya Hai Or Kya Hai Tere Ilm Ki Bisaat
Tuj Par Karam Naseer Ye Saara Ali Ka Hai
Manzar Fiza E Dahar Main, Saara Ali Ka Hai
Jis Samt Dekhta Hun Nazara Ali Ka Hai