Aarzooein kaisi hain Lyrics

Aarzooein kaisi hain kaash yun huaa hotaa !

Bu Jehel ke haathon mein kankari banaa hotaa
Apne Aaqa ke aage Kalima tou padhaa hota
Ghayb daa(n) Nabi ka eik Mo’jizaa banaa hotaa

Aarzooein kaisi hain kaash yun huaa hotaa !

Mein bhi Kaabe ki Chatt per buth banaa khadaa hotaa
Aaqa ke Ishaare per ondhaa giraa hotaa
Aur unnke Qadmon ka bosaa le liyaa hotaa
Khaake Paaye Aqdass ka hissa bann gayaa hotaa

Aarzooein kaisi hain kaash yun huaa hotaa !

Kaash mein Haleema ki Bakri hee rahaa hotaa
Aaqa mujhko le jaate, bann mein charr rahaa hotaa
Doodh dohtey Aaqa apne Daste Aqdass se
Aaj tak Muqaddar per Naaz kar rahaa hotaa

Aarzooein kaisi hain kaash yun huaa hotaa !

Eik Chattan ki soorat kaash mein rahaa hotaa
Aaqa Paaon rakh dete, Moum bann gayaa hotaa
Noori Aqs Qadmon ka Dil mein bhar liyaa hotaa
Unnke Jaannisaaron ke Dil mein bass gayaa hotaa

Aarzooein kaisi hain kaash yun huaa hotaa !

Kaash apne Aaqa ka Na’ale Paak hee hotaa
Hamaa waqt Qadmon se liptaa hi rahaa hotaa
Jabb kabhi mein phatt jaata, apne haath se guth-te
Taajdaaron ke sarr ka Taaj bann gayaa hotaa

Aarzooein kaisi hain kaash yun huaa hotaa !

Nazmi tum tou bhole ho, aisaa kiyun huaa hotaa
Aale Faatima honaa Rabb ne jabb likhaa hotaa
Ahle Bayt mein honaa Rabb ne jabb likhaa hotaa
Aale Mustafa honaa Rabb ne jabb likhaa hotaa