Mustafaye Zaat e Yakta Naat Lyrics

Mustafaye Zaat e Yakta aap hai
Yak ne jisko yak banaya aap hai

Aap jaisa koi ho sakta nahi
Apni har khoobi me tanha aap hai

Aabo gilme noor ki pehli kiran
Jaane Aadam jaane Haww aap hai


Husn e Awwal ki namude awwali
Bazme aakhir ka ujala aap hai

Aap ki khatir banaye do jahaan
Aur apni khatir jo banaya aap hai


Aap ki tal’at ko dekha jaan di
Qabr me pahucha to dekha aap hai

Aap ki tal’at khuda ka aaina
Jisme chamke haq ka jalwa aap hai

Aap se khud aap ka sahil hu mai
Jaan e Ja meri tamanna aap hai

Bar darad aamad gada behre salaam
Ho bhala Akhtar ka daata aap hain