Nabi Ki Chashme Muhabbat Ka Muajiza Siddique

Nabi Ki Chashme Muhabbat Ka Muajiza Siddique,
Labe Rasool e Muazzam Ki Hai’n Dua Siddique,

Sadaqato’n Ka Woh Mehtab, Ta Abad Nayab,
Na Aaya Aur Na Aayega Dusra Siddique,

Unhi Pe Unke Khasaies Ki Hogayi Takmeel,
Ke Hai Riyazi e Azmat Ka Dayera Siddique,

Qasam Khuda Ki Ye Azmat Hai Lazawal Unki,
Jaha’n Me Sab Se Bade Bad e Ambiya Siddique,

Hai Unki Zaat Musharu Ilaj (مشارُُ الیہ ) Qura’n Me,
Nabi Ke Sath Hai’n Ek Fard e Izhuma Siddique,

Wo Charkhe Ishq e Risalat Ke Nayyar e Aazam,
Har Ek Seenaye Momin Ki Hai Ziya Siddique,

Hayat e Paak Me Aaqa Ki Har Ada Mehfooz,
Hai’n Ek Sahifaye Ausaf e Mustafa Siddique,

Nishan e Hubbe Nabi Ban Gaya Wajood Unka,
Adab Ki Shakle Mujassam Hai Ba Wafa Siddique,

Aqeedato’n Ke Wazo Se Jise Padhe’n Kaunen,
Sarapa Naat e Nabi Nagmaye Sana Siddique,

Nabi Ka Mushafe Rukh Jis Pe Tha Shab e Hijrat,
Bane The Gaar Me Wo Rehle Khush Numa Siddique,

Unhe Mizaj Shanase Rasool Kehte Hai’n,
The Is Qadr Dil e Sarwar Se Aashna Siddique,

Pasand Aayi Khuda Ko Bhi Unki Tarz e Wafa,
Nabi Ki Chah Me The Aise Khush Ada Siddique,

Wo Jaa-nisari O Waruftagi Wo Soz O Guzaar,
Kaha’n Milegi Zamane Me, Masiwa Siddique,

Rasool e Paak Ka Deewana Unsa Koi Nahi,
Hai Behre Ishq Ke Ek Laal e Be Baha Siddique,

Rahi Dafaye Nabi Me Faseel e Jaa’n Unki,
Jari O Sabir Khud-Daar O BaSafa Siddique,

Jaha’n Me Jitne Wafao Ke Lafz Rayeij Hai,
Sabhi Ke Maani O Tashrih O Tarjuma Siddique,

Sharafate’n Bhi Qasam Khaye’n Jinki Izzat Ki,
Huye Hai Aise Sharaf Saaz O Paarsa Siddique,

Nahi Sadaqat O Haqqaniyat Me Jinki Misal,
Wo Haq Nawaz Wo Haq Afroz Wo Haq Numa Siddique,

Umar Ali Ghani Bhi Sanwarte The Jisse,
Usool e Haq Ke Wo Our Noor Aayina Siddique,

Usi Adare Ke Takmeez Aashiqane Rasool,
Nisab e Ulfat e Sarwar Ka Madarsa Siddique,

Zamane Wale Chalo Unse Azmate’n Lelo,
Har Ek Urooj O Bulandi Ka Hai’n Pata Siddique,

Zabane Siddique O Yaqee’n Se Unhe Pukaro To,
Karenge Dur Zamane Ki Har Bala Siddique,

Bilal e Habshi Ko Poshake Hurriyat Bakhshi,
Hai’n Momino Ke Madadgaar O Aasra Siddiqie,

Khirad Ne Pucha Ke Hai Kon Ishq Ka Miyar,
Qalam Utha Ke Fareedi Ne Likh Diya Siddique.