Darde Dil Naam Lene Se Hota Hai Kam Laakhon Salaam Tazmeen

Jisne Hum ko Diya Hai Khuda Ka Payaam
Jiska Aala Hai Rutba Hai Aala Maqaam
Jinke Sadqe Mein Hai Ye Zamee(n) Aasmaan
Jinki Tareef Mein Hai Ye Saara Qur’aan
Saare Nabiyo Mein Aala Hai Jinka Maqaam
Kyun Na Un Par Padhe Jhoom Kar Hum Salaam
Mustafa Jaane Rehmat Pe Laakhon Salaam
Sham’e Bazme Hidaayat Pe Laakhon Salaam

Dard e Dil Naam Lene Se Hota Hai Kam
Isliye Naam Aaqa Ka Lete Hai Hum
Jhoom Kar Likh Raha Hai Raza Ka Kalam
Shehre Yaare Iram Taajdaare Haram
Nau Bahaare Shafa’at Pe Laakhon Salaam

Aaya Saa’il To Muh Ka Niwaala Diya
Nazar Altaf Daali Gani Kar Diya
Anpe Nana Ka Wada Wafaa Kar Diya
Ghar Ka Ghar Sab Supurde Khuda Kar Diya
Us Hussain Ibne Haidar Pe Lakho Salam

Jinki Maa Fatima Aur Hai Nana Rasool
Kitni Pakeeza Hai Unke Qadmo Ki Dhool
Marhaba Marhaba Wo Hai Aale Rasool
Kitne Mehke Huwe Hai Madine Ke Phool
Karbala Teri Qismat Pe Laakhon Salaam

Kitni Arfaa Hai Shaane Habeebe Khuda
Maalike Do Saraa Sarware Ambiya
Muqtadi Jis Ke Sab, Sab Ka Jo Muqtada
Jis Ke Zere Liwa Aadam o Mansiva
Us Sazaa e Siyaadat Pe Laakhon Salaam

Dooba Suraj Kisi Ne Bhi Phera Nahi
Koi Misle Yadullah Bhi Dekha Nahi
Jiski Taaqat Ka Koi Thikaana Nahi
Jisko Baare Do Aalam Ki Parvah Nahi
Aise Baazu Ki Quwwat Pe Laakhon Salaam

Kamli Wale Ki Jisko Rafaaqat Mili
Sab Sahaba Ki Jisko Imamat Mili
Sabse Pahle Jise Hai Khilafat Mili
Baad Nabiyon Ke Jisko Hai Izzat Mili
Uske Taaje Khilafat Pe Laakhon Salaam

Deen o Duniya Diye Maal Aur Zar Diya
Hoor o Ghilman Diye Khuld o Kausar Diya
Daaman e Maqsad e Zindagi Bhar Diya
Hath Jis Samt Utha Ghani Kar Diya
Mauje Behre Samaahat Pe Laakhon Salaam

Jinki Azmat Pe Sadqe Waqaare Haram
Jinki Zulfon Pe Sadqe Bahaare Haram
Nau Shaa e Bazme Parwar Digaare Haram
Shahre Yaare Iram Taajdaare Haram
Nau Bahaar e Shafa’at Pe Laakhon Salaam

Jinke Chehre Pe Jalwon Ka Pehra Raha
Najm o Taha Ke Jhurmut Mein Chehra Raha
Husn Jiska Har Ek Shab Me Gehra Raha
Jiske Mathe Shafa’at Ka Sehra Raha
Us Jabeen e Sa’aadat Pe Laakhon Salaam

Laa Makaa(n) Ki Zamee(n) Behre Kaaba Jhuki
Rif’at e Manzil e Arsh e Aala Jhuki
Azmat e Qibla e Deen o Duniya Jhuki
Jinke Sajde Ko Mehraabe Kaaba Jhuki
Un Bhawon Ki Latafat Pe Laakhon Salaam

Pad Gayi Jis Pe Mehshar Mein Bakhsha Gaya
Dekha Jis Samt Abre Karam Chaa Gaya
Rukh Jidhar Ho Gaya Zingadi Pa Gaya
Jis Taraf Uth Gayi Dam Mein Dam Aa Gaya
Us Nigahe Inaayat Pe Laakhon Salaam

Jis Ke Jalwe Zamaane Pe Chaane Lage
Jiski Zou Se Andhere Thikaane Lage
Jis Se Zulmat Kade Noor Paane Lage
Jis Se Tareek Dil Jagmagane Lage
Us Chamak Wali Rangat Pe Laakhon Salaam

Kuljume Husn Ki Jinko Shakhe Kahen
Jin Se Sote Latafat Ke Futa Karen
Jin Se Nahre Tajalli Ki Jaari Rahen
Noor Ke Chashme Lehraaye Dariya Bahen
Ungliyon Ki Karamat Pe Laakhon Salaam

Kaaba e Deen o Din Yaani Naksh e Qadam
Jinki Azmat Nahi Arshe Aazam Se Kam
Har Bulandi Ka Sar Ho Gaya Jis Pe Kham
Khaayi Qur’aa(n) Ne Khake Guzar Ki Qasam
Us Kafe Paa Ki Hurmat Pe Laakhon Salaam

Main Bhi Hu Ik Gada e Dar e Auliya
Main Bhi Hu ik Sage Kuye Gousul Wara
Main Bhi Hu Zarra e Kucha e Mustafa
Tere Un dosto Ke Tufaile Khuda
Bandaye Nange Khalqat Pe Laakhon Salaam

Abre Jood o Ataa Kis Pe Barsa Nahin
Tera Lutf o Karam Kis Pe Dekha Nahin
Kis Jagah Aur Kahan Tera Jalwa Nahin
Ek Mera Hi Rehmat Pe Daawa Nahin
Shah Ki Saari Ummat Pe Lakhon Salaam

Aftaab e Qayamat Ke Badle Hon Taur
Jab Ke Ho Har Taraf Nafsi, Nafsi Ka Daur
Jab Kisi Ko Na Ho Fursat o Fikr o Gaur
Kaash Mehshar Mein Jab Unki Aamad Ho Aur
Bhejein Sab Unki Shaukat Pe Laakhon Salaam

Murshidi Shah Ahmad Raza Khan Raza
Faiziyabe Kamaalate Hassan Raza
Saath Akhtar Bhi Ho Zam Zama Khan Raza
Mujh se Khidmat Ke Qudsi Kahe Ha Raza
Mustafa Jane Rehmat Pe Laakhon Salaam
Shamye Bazme Hidayat Pe Laakhon Salaam