Woh Kamaale Husne Huzoor Hai Tazmeen Lyrics

Gule quds ki woh bahaar hai
Ke jise kabhi bhi khiza nahi
Woh mahe arab ki hai raushni
Jaha zulmato ka gumaa nahi
Behijaab dekhe unhe koi
Ye kisi me taabo tawa nahi
Woh kamaal husne huzoor hai Ke gumaane naks jaha nahi
Yahi phool khaar se door hai yahi shama hai ke dhua nahi

Jo tere sukhan me hai chashni
Ba khuda kisi ke yaha nahi
Kahe ghair bhi ke tere sukhan
Me galat ka naamo nishaan nahi
Aye Nabi tera ye kalaam hai
Jo sama’ato pe gira nahi
Mai nisaar tere kalaam par mili yoon to kisko zabaan nahi
Woh sukhan hai jisme sukhan na ho woh bayaa hai jiska bayaa nahi

 

Bhala kisme itni majaal hai
Ke woh tere saamne tik sake
Jinhe naaz apni zabaan pe tha
Woh bhi aaye jab tere saamne
Ke woh rob khaak me mil gaya
Ke woh hont bhi na hila sake
Tere aage yoon hai dabe lache fushaa arab ke bade bade
Koi jaane muh me zabaa nahi, nahi balke jism me jaan nahi

Tere gul se paa ki bahar par
Woh bahare baaghe jinaa fida
Tere rukh pe chand nisaar ho
Tere kad pe sar woh chaman fida
Mere saare maalo mataa’ kya
Ke saro pe gar meri maa fida
Karu tere naam pe jaan fida na bas ek jaan do jahaa fida
Do jahaa se bhi nahi jee bhara karu kya qarodon jahaa nahi

 

Jo kisi se pher le woh nazar
Phire mara mara woh dar badar
Na use qaraar naseeb ho
Na suqoon paaye woh umr bhar
Do jahaan ke khair ki hai talab
to chalo dare shahe deen par
Ba khuda khuda ka yahi hai dar nahi aur koi mafar makar
Jo waha se ho yahi aake ho jo yaha nahi to waha nahi

Teri baargah me arz kya
Mai karu aye maalike behro bar
Jo khayal dil me guzarte hai
Ba khuda tu unse hai ba khabar
Kafe daste paak ki misl hai
Tere saamne sabhi khushk o tar
Sare arsh par hai teri guzar dile farsh par hai teri nazar
Malakoot o mulk me koi shai nahi woh jo tujh pe ayaa nahi

Mere mustafa mere mujtaba
Tera rooe paak hai wadduha
Tera ik ishara jo mil gaya
To kaleja chand ka chir gaya
Tera mehre paak teri raza
Koi laaye tera jawaab kya
Nahi jiske rang ka dusra na to ho koi na kabhi hua
Kaho usko gul kahe kya bani ke gulo ka dher kaha nahi

Kisi maaldar ki madha me
Kabhi bhi Raza ne na kuch kaha
Jo mere raza se kaha gaya
Ke qaseeda likho nawaab ka
To suno aye qasime benawa
Ke mere imaam ne kya kaha
Karu madha ahle duwal Raza pade is bala me meri bala
Mai gada hu apne kareem ka mera deen para e naa nahi