Wallah Mere Khwaja Ka Darbar Nirala hai Manqabat Lyrics

Wallah mere Khwaja ka darbar nirala hai
Ajmer ki sham’a ka ghar ghar me ujala hai.

Tum hind ke waali ho kya shaan tumhari hai
Aaqa ki ata ho tum rutba tera aala hai.

Gumbad tere rauze ka kya khoob chamakta hai
Mehsoos ye hota hai ek noor ka aala hai.

Ajmer ki dharti par anwaar baraste hai
Khwaja tere rauze par Taiba ka ujala hai.

Dete ho sabhi ko tum sunte ho sabhi ki tum
Kuch farq nahi isme gora hai ke kaala hai.

Sone do farishto ab chedo na lahad me tum
Dekho mere haatho me Khwaja ka hawala hai.

Mehkhana hai Taiba ka saaki hai mera Khwaja
Bat-ti hai Madine ki baghdad ka pyala hai.

Tehreek ke khadim kya kar paaye bhala khidmat
Ye teri inayat hai tu ne hi sambhala hai.

Shakir bhi tumhara hai Rizwan bhi tumhara hai
Ye teri inayat hai bol unka jo baala hai.

Sachcho ke saath raho Qur’an ka farmaa hai
dozakh me na jaayega jo Khwaja wala hai

Is Rashide Razvi ki auqat hai bas itni
Khwaja tere tukdo ne ab tak ise paala hai.