Muhammad Mustafa Salle Ala Ki Aaj Mehfil Hai Naat Lyrics

Muhammad Mustafa  Salle Ala Ki Aaj Mehfil Hai
Habeebe Kibriya Salle Ala Ki Aaj Mehfil Hai
Padho Salle Ala Salle Ala Salle Ala Har Dam
Ke Mehboobe Khuda Salle Ala Ki Aaj Mehfil Hai
Wuzu Se Aaye Baithe Ba Adab Bheje Durood Unpar
Jahaan Ke Rehnuma Salle Ala Ki Aaj Mehfil Hai
Farishte Aalame Baala Se Sun Sun Kar Ye Kehte Hain
Chalo Noore Khuda Salle Ala Ki Aaj Mehfil Hai
Huwe Hai Jis Ke Faize Noor Se Donon Jahaan Raushan
Usi Shamsud Duha Salle Ala Ki Aaj Mehfil Hai
Nikala Jis Ne Chashma Aab Ka Ungli Se Jungle Mein
Usi Behre Sakha Salle Ala Ki Aaj Mehfil Hai
Duayen Mangle Jo Mangni Ho Haq Se Aye Akbar
Tere Mushkil Kusha Salle Ala Ki Aaj Mehfil Hai