Koi Saleeqa Hai Aarzoo Ka Na Bandagi Meri Bandagi Hai Lyrics

Koi Saleeqa Hai Aarzoo Ka

Na Bandagi Meri Bandagi Hai
Ye Sab Tumhara Karam Hai Aaqa
Ke Baat Ab Tak Bani Hui Hai
Kisi Ka Ehsan Kyun Uthaaye
Kisi Ko Haalat Kyun Bataaye
Tumhi Se Maangege Tum Hi Doge
Tumhare Dar Se Hi Lau Lagi Hai
Ataa kiya mujh ko dared ulfat
Kaha Thi Ye Pur Khata Ki Qismat
Mein Is Karam Ke Kaha Tha Qaabil
Huzoor Ki Banda Parwari Hai
Sha-oor o Fikro Nazar Ke Daire Had Ka
In Se Aage Badh Na Paaye
Na Choo Sake Un Bulandiyon Ko
Jahaa Maqaame Muhammadi Hai
Tajaliyon ke kafeel tum ho
Muraad Qalbe Khaleel Tum Ho
Khuda Ki Raushan Daleel Tum Ho
Ye Sab Tumhari Hi Raushni Hai
Basheer kahiye nazeer kahiye
Unhe Siraaje Muneer Kahiye
Jo Sar Ba Sar Hai Kalaame Rabbi
Woh Mere Aaqa Ki Zindagi Hai
Amal ki mere asaas kya hai
Bajuz Nadamat Ke Paas Kiya Hai
Rahe Salaamat Tumhari Nisbat
Mera To Ek Aasra Yehi Hai
Hai kaaba bhi marjaye khalaaiq
Bohat Numaaya Hai Ye Haqaaiq
Magar Jo Maqsoode Aashiqui Hai
Huzoor Ke Dar Ki Haazri Hai
Yehi hai khalid asaqse rehmat
Yehi Hai Khalid Binaa-E-Azmat
Nabi Ka Irfan Zindagi Hai
Nabi Ka Irfan Bandagi Hai