Ambiya Ko Bhi Ajal Aani Hai Lyrics

Ambiya ko bhi ajal aani hai
Magar aisi ki faqat aani hai

Phir usi aan ke baad un ki hayaat
Misle saabiq wohi jismaani hai

Ruh to sab ki hai zinda un ka
Jisme purnoor bhi ruhaani hai

Auro(n) ki rooh ho kitni hi lateef
Unke ajsaam ki kab saani hai

Paau jis khaak pe rakh de(n) woh bhi
Rooh hai paak hai nooraani hai

Uski azwaaj ko jaaiz hai nikaah
Us ka tarka bate jo faani hai

Yeh hain haiyye abadi un ko Raza
Sidqe waa’da ki qazaa maani hai