Sarkaar Aap Jaisa Koi tha Na Hai Na Hoga Naat Lyrics

Zamane bhar ne azeem jana
Qasam Khuda ki Azeem jana
Nahi hai unsa koi nahi hai
Hamare aaqa Azeem tar hai
Sarkar Aap Jaisa Koi Tha Na Hai Na Hoga                                                                  
 Jaise hai aap waisa koi tha na hai na
Bakhshish ko asiyon ki duniya me aake fauran    
Sajde me Jaane wala koi tha na hai na hoga
Meraj ke safar me ummat ko yaad karke
Aasu bahane wala koi tha na hai na hoga
Jab Jhoom kar hai toote pyase to ungliyon se
Darya bahane wala koi tha na hai na hoga
Insaan to phir hai insaan par sari khalkato par
Rehmat lutane wala koi tha na hai na hoga
Bandhe shikam pe pathar chulah jale na ghar par
Phir bhi khilane wala koi tha na hai na hoga
Tha ek hi to pyala sattar jo the sahaba
Sabko pilane wala koi tha na hai na hoga
Mehshar ki dhup me bhi unke siwa karam se
Saya dilane wala koi tha na hai na hoga
Allah wo kayamat aur pyas ki wo shiddat
Kausar pilane wala koi tha na hai na hoga
Yume hisaab jis dam sakhti hume rulaye
Aasaan karane wala koi tha na hai na hoga
La taqnatu hai muzda hum par karam ka parda
Bakhshish karane wala koi tha na hai na hoga
Mutthi me bu jehel ki bejaan kankari ko 
Kalma padhane wala koi tha na hai na hoga
Ungli ek ishare se chand shaq hua hai
Suraj phirane wala koi tha na hai na hoga
Jab nafsi nafsi saare abraar khehte honge
Humko bachne wala koi tha na hai na hoga
Duniya se kheh de RIZWAN tu hai ghulame Hassan
Unse bhala sanakhawn koi tha na hai na hoga