Arsh Se Aage Jaake Dikhao Naat Lyrics

Arsh se aage jaake dikhao Phir kehna hum jaise they
Noore mujassam ban ke dikhao Phir kehna hum jaise they

Chand hua shak suraj palta Unke ek ishare se
Tum bhi zara ye kar ke dikhao Phir kehna hum jaise they

Summa dana fatadalla unki Qurb ki manzil ka hai bayaa
Hai gar mumkin tum bhi jao Phir kehna hum jesethey

Hazrat e jabir ki dawat me Jaise hazaro sair huve
Dawat aisi tum bhi khilao Phir kehna hum jaise they

Khoob baha panjabe rehmat Khub hue sairaab sabhi
Pani aisa tum bhi pilao Phir kehna hum jaise they

Hirni wapas laut ke aai Unse wafa ka dars diya
Aisi huqumat tum bhi chalao Phir kehna hum jaise they

Unka yad beshak hai yadullah unka kalaam Allah ka kalaam
Dasto zubaan apne to dekhao Phir kehna hum jaise they

Maana bashar wo bhi hai lekin yuha ilaiya bhi to padho
Koi wahi ek tum bhi laao Phir kehna hum jaise they
 

Inna aatayna kal kausar aur rafana laka zikrak
Sura e toaba padhte jao Phir kehna hum jaise they

Wo hai luab e Paak Nabi ka khari kooye meethey hue
Meetha tum bhi karke dikhao Phir kehna hum jaise they

Daste mubarak ki barkat se Tooti haddi thik hui
Haath zara apna bhi badhao Phir kehna hum jaise they

Shaan hai ye khuddame Nabi Ki murdo ko bhi zinda kiya
Tum bhi zara thokar se jilao Phir kahna hum jaise they

Shan hai ye Guas e Aazam Ki murdo ko bhi zinda kiya
Tum bhi zara thokar se jilao Phir kahna hum jaise they

Unki zuban hai kun ki kunji seerat unki hai Qur’an
Aisi ata gar ho to batao Phir kahna hum jaise they

Unke Sanakhawa Hazat e Hassan Naat hai saara hi Qur’an
Koi Muhammad aur batao Phir kahna hum jaise they

Khulke azeem akhlak hai kiska arsh ka dulha ksun bana
Aur koi aisa hai batao Phir kahna hum jaise they

Pooch to Rizwan unke adu se Saani kaha se laoge
Aao zara saya to dikhao Phir kehna hum jaise they