Laakhon Salaam by Nazmi Miyan alahir rehma

Shafaye Roze Mehshar  Pe Lakhon Salam
Saqiye Hauze Kausar Pe Lakhon Salaam

Qasime Ne’mat o Malike Juz o Kul
Dono Alam ke Sarwar Pe Lakhon Salaam

Arsh se aaghe  jiski Rasai Hui
Yani Mehbobe Dawar Pe Lakhon Salaam

Zulf o  Rukhsar ki khaye Qur’a(n) Qasam
Mustafa Noori paikar  Pe Lakhon Salaam

Unke Rauze Ki  Hurmat pe behad Durood
Unke Mehrab o Mimbar Pe Lakhon Salaam

Hashr me Ummati Ummati ki sada
Es Shafaat ke tewar Pe Lakhon Salaam

Jiske Sadqe me Jannat ka Muzda mila
Sajdae Yaume Mehshar Pe Lakhon Salaam

Naaze Sidqo Safa Fakhre jood o Sakha
Yani Siddiq e Akbar Pe Lakhon Salaam

Hazrate Usma Ki Sharmo Haya Par Darood
Ibne Khattab o Haider  Pe Lakhon Salaam

Jiske bete Imam Aur Shauhar Imam
Sarvare Deen ki Dukhtar Pe Lakhon Salaam

Fakhre Aale Payambar kahen hum jinhe
Yani Shabbir o Shabbar Pe Lakhon Salaam

Mazhare Shane Qudrat hai Ghausulwara
Maarifat ke Samandar Pe Lakhon Salaam

Khawajae Khawjgaa(n) Deene Haq ke moin
Istaqamat ke Jauhar  Pe Lakhon Salaam

Shahe Barkat ki Barkat pe behad Darood
Bahre Irfaa(n) ke Ghauhar Pe Lakhon Salaam

Humko Sikhlai Achche Bure ki Tameez
Aala Hazrat jaise Rehbar Pe Lakhon Salaam

Aashiqe Mustafa Jibreile  Ameen
Unke Noorani Sahpar Pe Lakhon Salaam

Ishqe Ahmed me Nazmi jo sarshar ho
Uske unche Muqaddar Pe Lakhon Salaam