Kya Theek Ho Rukhe Nabavi Par Lyrics

Kya theek ho rukhe Nabavi par misaale gul
Pamale jalwaye kafe paa hai jamaale gul

Jannat hai unke jalwe se jooyaae rango boo
Aye gul humare gul se hai gul ko sawaale gul

Unke qadam se sil’aye ghaali hui jinaa(n)
Wallah mere gul se hai jaaho jalaale gul

Sunta hu ishqe shah me dil hoga khoo(n) fishaa(n)
Ya Rab ye muzda sach ho mubarak ho faale gul

Bulbul haram ko chal ghame faani se faaeda
Kab tak kahegi haaye woh gunjo dalaale gul

Ghamgee(n) hai shauqe gaazaye khaake Madina me
Shabnam se dhul sakegi na garde malaale gul

Bulbul ye kya kaha main kaha(n) fasle gul kaha(n)
Ummeed rakh ki aam hai joodo nawaale gul

Bulbul! Ghira hai abre wilaa muzda ho ki ab
Girti hai aashiyane pe barqe jamaale gul

Ya Rab hara bhara rahe daage jigar ka baag
Har mah mahe bahaar ho har saal saale gul

Range muzah se karke khajil yaade shah me
Kheencha hai hum ne kaanto(n) pe itre jamaale gul

Main yaad e shah me rou(n) anadil kare(n) hujoom
Har ashq laala-faam pe ho ahtimaale gul

Hai akse chehra se labe gulgoo(n) me surkhiya(n)
Dooba hai badre gul se shafaq me hilaale gul

Naate Huzoor mein mutarannam hai andaleeb
Shaakho(n) ke jhoomne se ayaa(n) wajdo haale gul

Bulbul gule Madina humesha bahaar hai
Dondin ki hai bahaar fana hai ma-aale gul

Shaikhain idhar nisaar, ganiyyo(n) Ali udhar
Guncha hai bulbulo(n) ka yameeno shimaale gul

Chahe khuda to paaenge ishqe Nabi me khuld
Nikli hai naamaye dile pur khoo(n) mein faale gul

Kar uski yaad jisse mile chain andaleeb
Dekha nahi ki khaare alam hai khayaale gul

Dekha tha khwaabe khaare haram andaleeb ne
Khatka kiya hai aankh mein shab bhar khyaale gul

Un do ka sadqa jinko kaha mere phool hai
Kije Raza ko hashr mein khanda(n) misaale gul